Tuesday, September 13, 2005

Shayari ka daur

A thread of shayari is again restarted on cse.mtech2
--------------------------------------------------------
chahat mithti nahi, yun samay ke bahav se,,
yadoon me uska basera kyonki, aaj bhi hai,,


Rasm-e-duniya ko to hum tab bhi nibhaya karte the,,
magar tadap usse milne ki dil me, aaj bhi hai,,

ankhoon me bhale na jhalakti ho aaj chahat uske lie,,
par dil pe pade chahat ke nishaan, aaj bhi hai,,

khil uthti hai muskaan ab bhi, jab naam uska aata hai,,
Sachche dil se ki chahat ka rang, aaj bhi hai,,

mana wo chale gae hai hume choodkar akela,,
par ankhoon me uski khatir do ansu, aaj bhi hai,,

Ye dil sambhal jae, gar koi saath nibhaye mera,
Baharo me khili hui kitni kaliyan, aaj bhi hai...
------------------------------------------------------
Armanoo ki barat to kai baar sajai hai dil me,,
Kisi ko lage wo janaza, to baat aur hai,,

Dil lagake dard kaun paana chahta hai, ae dost,,
Par Dil milae bina gar chahat mile, to baat aur hai..
--------------------------------------------------------
Tarasti nazaron ki pyas ho tum,
tadapte dil ki aas ho tum,
bujti zindagi ki saans ho tum,
phir kaise na kahen...
kuch khaas ho tum....
---------------------------------------------------------
."Koi gham nahi phir bhi mann udas hai,
koi rishta nahi phir bhi ek aas hai,
kehne ko bahut hai apne par tu hi ek khaas hai....
.
.
.
.
Zyaada EMOTIONAL mat ho ye sab BAKWAAS hai!!"
---------------------------------------------------------
Unki Muskaan hamari kamjori hai,
Unhe kuch keh na pana, hamari majburi hai,
Wo kyon nahi samajhte hamari khamoshi ko,
Kya khamoshi ko Zuban dena Jaruri hai..
--------------------------------------------------------
Phoolon se bhi kya Dosti karni,
kuch pal baad mar jaate hai.
Dosti Karo to kaantose,
chubhne ke baaad bhi yaad aate hai

-------------------------------------------------------
Is tarah tanha baithe hain naakam se
Ek dosti si ho gayee hai Gum ki shaam se
Guzre hain aaj ishq me kuch aise mukaam se
Ke Nafrat si ho gayee hai Mohabbat ke naam se!
---------------------------------------------------------

No comments: