Sunday, September 25, 2005

Ek kavita

jab yun hi kabhi baithey baithey

kuch yaad achanak aa jaye

her baat pe dil bezaar sa ho

her cheez jab yun hi kabhi baithey baithey

kuch yaad achanak aa jaye

her baat pe dil bezaar sa ho

her cheez se dil ghabra jaye

karna bhi mujhe kuch aur hi ho

kuch aur hi mujh se ho jaye

kuch aur hi sochun mein dil mein

kuch aur hi honton pe Aa jaye

aisey hi kisi ik lamhey mein

chupkey se kabhi khamoshi mein

kuch phool achanak khil jain

kuch beetey lamhey yaad Aain
us waqt teri yaad Aati hai

jab chandni dil ke Aangan mein

kuch kehney mujh se Aa jaye

aik khwabeda se chhutey koi

ehsaas peh merey chaa jaye

jab zulf pareshan chehrey par

kuch aur pareshan ho jaye

kuch dard bhi dil mein honey lagey

aur saans bhi bhojal ho jaye

aise hi kisi ik lamhey mein

chupkey se kabhi khamoshi mein
kuch phool achanak khil jain

jab shaam dhaley chaltey chaltey

manzil ka na koi naam miley

hansta hua ik Aaghaz miley

rootha hua ik anjam miley

palkon ke laraztey ashkon se

is dil ko koi peghaam miley

aur sari wafaon ke badley

mujh ko hi koi ilzaam miley

aise hi kisi ik lamhey mein

chupkey se kabhi khamoshi mein
kuch phool achanak khil jain

kuch beetey lamhey yaad Aain

us waqt teri yaad Aati hai

shidat se teri yaad Aati hai

No comments: