it's shayri time again. obviously, not my creation.
-----------------------------------------------------
Hum mud mud ke unhe dekh rahe the aur woh hame...
Hum mud mud ke unhe dekh rahe the aur woh hame...
Kyunki exam me na unhe kucch aa raha tha, na hame ...
-----------------------------------------------------
I wish aisi exam har din hoti rahe,
isi bahane kisi ki nigahein hum pe padti rahe
----------------------------------------------------
"Churi chalane ki hum par, zarurat hai unhe kya,
Ek dafa wo nazre milake to dekhe, hum abhi yahin ghayal ho jaenge..."
-------------------------------------------------------
Tu dekh ya na dekh, tere dekhne ka gam nahi,
Par teri ye na dekhne ki ada dekhne se kam nahi.
---------------------------------------------------------
amein dekhane waalo ki is duniya mein kami nahi,
Par teri nazhro wali baat kisi aur mein nahi !!!
---------------------------------------------------------
tufan me kashti ko kinare bhi mil jate hai
jahan me logo ko sahare bhi mil jate hai
duniya me sabse pyari hai zindagi
kuch log zindagi se pyare bhi mil jate hai
-----------------------------------------------------------
Khidki khuli, Zhulfe nikli,
Khidki khuli, Zhulfe nikli,
Maine soch kismat khuli,
Par afsos, din itwaar tha,
Khuli zhulfo wala Sardar tha
-------------------------------------------------------------
vaado ko ikraar na samjho,
Khamoshi ko inkaar na samjho,
Nazre milti hai hazaroo se,
Nazro ke milne ko pyar na samjho..
------------------------------------------------------------
Koi ankhon se baat kar leta hai,
Koi ankhon mein mulakat kar leta hai,
Bada mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai.
-------------------------------------------------------------
PHIR AAJ WAHI MAIKADE KI YAAD AA RAHI HAI
PHIR AAJ WAHI SHARAB KI KUSHBU AA RAHI HAI
PHIR AAJ WAHI SAQI KI PUKAR AA RAHI HAI
PHIR AAJ WAHI BHEED KI TANHAEE MUJE SATA RAHI HAI......
--------------------------------------------------------------
Sharab bani to maikhane bane ...
Sharab bani to maikhane bane ...
pyar bana to deewane bane
Kuch to baat hogi aap mein
ki yuhi nahin paagal khane bane.
----------------------------------------------------------------