Hi,
It's been a long time since I wrote down something here. So many things happened but I am just too lazy to post it over here. Just copying some shayaris that my friend shAan wrote. I hope u dont mid, shAan :-)
~~Daaman~~
youn na mujhko dekh tera dil pighal na jaaye
mere aansooyon se tera daaman jal na jaaye
woh mujhse phir mila hai aaj khwaabon mein
ae khudaya kahin meri neend khul na jaaye
poocha na kar sab ke saamne meri kahani
kabhi tera naam hothon se nikal na jaaye
jee bhar ke dekh lo "shAan" ko tum sanam
kya pata phir zindagi ki shaam dhal na jaaye
~~Chiraag mein~~
jab koi junoon aata hai dimaag mein
apna khoon daal deta hoon chiraag mein
aik chehra ban jaata hai meri aahon se
aik soorat chhupi huii hai dil ke daag mein
dard ke siwaa mujhko milaa kuch bhi nahin
maine dil lagaaya tha khushiyon ki laag mein
lapton mein mujhko dekh kar mayous hote hain
jhoonk to dete hain mere khat woh aag mein
kaanton se apna daaman bhar ke laaya hoon
mil gaya tha aik shakhs phoolon ke baag mein
~~banaa diya~~
khoon se rangeen deewar-o-dar banaa diya
zara sa haath maine zakhmon se utthaa diya
teri yaadon ne dastak jab bhi dil pe di
aik aah bhar lee aik aansoo bahaa diya
cheekh-te hain dil ke chhalle naam-e-marham pe
rog kaise tumne ye dil ko lagaa diya
phir bhi deta hai tum hi ko dil duaayen
mana ke tune mujhe khaak mein milaa diya
baitha hoon jaise lutt gaya ho dilli ka taaj
aaj maine tera aakhiri khat bhi jalaa diya
woh chehre ko duppatte mein chhuppaye chal diye
"shAan" ka ek sheyr maine kya sunaa diya